Awaz uthana kitna jaruri hai?(आवाज़ उठाना कितना जरूरी है ?)
आवाज़ उठाना कितना जरूरी है ये बस वही समझ सकता है जिसने सही वक्त पर आवाज न उठाने का खामियाजा भुगता हो। कहते है बुखार होना भी एक जंग का पड़ाव है ,जब शरीर किसी विषाणु या जीवाणु से लड़ता है तो वह शरीर के ताप को बढ़ा देता है उस बैक्टीरिया को ख़त्म करने के लिए, जब शरीर के अंदर ये क्रिया स्वतः ही होती है तो हम क्यूं नहीं अपने अधिकारों के लिए खुद लड़ते।
कहते हैं अरे फला चीज पता नहीं कब हो गई हमें पता ही नहीं चला.. जबकी हकीकत तो ये है की तब शायद हम भेड़ चाल चल रहे थे...
सबसे जरुरी है किसी भी तथ्य को अपने नजरिए से देखना..खुद के विवेक से सोचना जो की अब हम नहीं कर रहे हैं...
एक भीड़ है कुछ लोगों की जिनकी एक सोच है और वह एक दिन समाज बन जाती है ... धीरे–धीरे वो समाज हमारी स्वतंत्रता को छीन रहा होता है । और हम समाज की चिंता कर के कुछ ऐसे कदम उठाते है जो हमें खुद से ही दूर ले जाता है
एक दिन हम उसी समाज की सोच का एक अंग बन जाते हैं। यहां मेरा समाज या सामाजिकता से कोई द्वेष नहीं है बस मैं समाज के निर्माण का जो उद्देश्य था उससे दुखी हूं। मतलब था की किसी भी व्यक्ति की सोच या क्रिया किसी के लिए हानिकारक है तो समाज हमारे लिए आवाज उठाने वाला समुदाय था पर आज समाज ही कभी कभी व्यक्तित्व विशेष की स्वतंत्रता के पंख को काट रहा होता है ।
In Hinglish
Awaj uthana kitna jaruri hai ye bas wahi samjh sakta hai jisne sahi waqt par awaz na uthane ka khamiyaja bhugta ho.kahte hain bukhar hona bhi ek Jung ka hi padaw hai ,jab shareer kisi vishanu ya jeevanu se ladta hai to wah shareer ka taap badha deta hai us bacteria ko khtam karne ke liye. Jab shareer ke andar ye kriya swatah hi hoti hai to hum kyun nhi apne adhikaron ke liye khud ladte...
Kahte hain arre fala cheej pata nhi kab ho gyi hume pata hi ni chala ..jabki hakeekat to ye hai ki tab shayad hum bhed chaal chal rahe the...
Sabse jaruri hai kisi bhi tathya ko apne najariye se dekhna ..khud ke vivek se sochna jo ki ab hum nhi kar rahe hain ..
Ek bheed hai kuch logon ki jinki ek soch hai aur wah ek din samaj ban jati hai .. dheere dheere wo samaj hamari swatantrata ko chheen raha hota hai ....aur hum samaj ki chinta kar ke kuch aise kadam uthate hain jo hume khud se hi door le jata hai ek din hum usi samaj ki soch ka ek ang ban jate hain.yahan mera samaj ya samajikta se koi dwesh nhi hai bas mai samaj ke nirman ka jo uddeshya tha usse dukhi hoon .samaj swatantra cheenna nhi balki swatantrata ka matalab tha ki kisi bhi vyakti ki soch ya kriya kisi ke liye hanikarak hai to samaj us ke liye awaj uthane wala samuday tha par aaj samaj hi kabhi kabhi vyakti vishesh ki swatantra ke pankh ko kat raha hota hai...

Comments
Post a Comment
boltizindagi@gmail.com